Tuesday 10 May 2016

Tarbiyat

Assalamualikum ,Doston ..
Masail jo har ghar mein hote hai aur Ho rahe hai.Miya biwi aur waldein kitne armano se ek larke ke waledein uski shaadi karte hai uski nayi zindagi ko sawarne mein koi kasar nahi chorte,Bahu laane mein kisi bhi tarah ki kami ko pasand nahi karte,surat khubsurat ho ,bete ki liye biwi aisi laane ka sochte hai jo ki aisi ho ki dekhne wale taarif hi karte rahe .Aur jab shaadi ho jaati hai wahi larki jislke liye unhone kisi tarah ki kami nai ki ,Wahi bahu jisey dhundhne mein itna waqt laga dya ,aaj wahi acchi nahi lagti ,uski adatein pasand nahi ,jo log taarif kar rahe they aaj woh taarif bhi pasand nahi ,balki idhar udhar baatein karke aaj wahi saans uski taarif nahi sunna chahti ..Akhir kyun itni jyada umeedein ..aap hi to lekar aaye they ,apki hi pasand hai to ab kya ?Aisa kya hua aapki pasand jo ab na pasand ho gayi hai ,darasal us naye mehmaan ki galti nahi ,galti hai samajh ki jab shaadi hoti hai to larki ko bhi samjhna zaruri hai ki woh jahan aayi woh ab uska hi asal ghar hai,jo uske khawind ke waldein hai woh ab uske bhi hai ,aur larke ko bhi yeh samjhna zaruri hai ki maa aur biwi dono ko barabar suney aur unki zarurat ko samjhe,ek tarfa jhukaao zindagi ko jhuka kar aur hila kar rakh deta hai ,Baat yeh nahi ki larki ki hi tarbiyat acchi ho ,baat yeh hai ki larka aur larki dono ki tarbiyat acchi ho ,kabhi kabhi larka apni ammi ki tarafdaari karne lag jaata hai , kabhi kabhi woh biwi ki taraf ,To baat yeh samjh aayi ki pehle ek aurat ko apne bete ko acchi tarbiyat dena zaruri hai phir wahi larke ko hi do logo ki samajh ko samjhna hoga ,Naahi woh itna magan ho ki apni ammi ko nazar andaaz kar de ,aur naahi woh bewakoof ho ki apni biwi ko har galti ka haqdaar baatae .kirdaar teen hai lekin soch ko ek karne mein larke aur larki dono ka bahut ahem hissa hai aap mane ya na maane ,ek larke ko biwi ke saath aur maa ke sath kaisa sulook kya jata hai woh ek aurat ki tarbiyat se seekhta hai aur jab bada hokar uski tarbiyat ki aazmaish hoti hai to uska farz hai ki jo usne seekha hai woh us par amal kare .Barabar se dono ke huqooq ko samjhe !! Ilsiye sirf ek ko hi is rishte ke naakam hone ka haqdaar banana galat hoga .Isliye zaruri hai ki Quran ki aur hadees ki roshni mein aurat aur mard ke Huqooq samjhe aur samjhaye taaki jo rishta sabse paak hai usmein galat fahmi ki jagh na ho !!waqt de khud ko aur saliqa seekhe zindagi ke falsafe ko samjhne ka rasoolo aur sahabiyon ki zindagi par baat kare ,apne baccho ko beech is tarah se ek dayra banaye ki woh is dayre ko musibat aur bandish nahi balki apni hifazat samjhe ...